Sunday, February 17, 2019

Badlaa...

Badlaa badlaa cheekhun chillaaun, badle ke badle main kya paaun...
Yeh antheen hai badlaa, jismein kitne hee jhulaste hain
iss jhulasan ko iss uljhan ko, jaane kaise main suljhaaun
Jo chala gaya, woh mera thha, jo jaayega woh tera
Aage jaane waale tere meron ko kaise main bachaaun
Kuch dehshatgard, kuch nafratgard hum par kitne hain bhari
yeh baat na maine samjhi, toh kaise tujhko samjhaaun
Ik samay thha jab tune maine, sang ladi thhi ek ladaai
woh samay jo ab nahin raha, kaise usko lautaaun
Badlaa badlaa cheekhun chillaaun, badle ke badle main kya paaun...

Tuesday, February 5, 2019

Kash-ma-kash

Kaisi kahmakash hai yeh zindagi meri
Sab kuch hai, par lagta hai kuch bhi nahin

Ek chhor se doosre chhor, mein simti
Lagatar bhag daud mein phansi zindagi meri

Mere apne, mere sagge, kehte tu humara na hua
Kis kis ko samjhaaun main ahemiyat meri

Kya kiya maine, aur kya na kiya maine
Inn sawaalon mein phansi, ab toh yeh hasti meri

Ae khuda tune toh sab dekha, sab jaana
Tu hee sudhaar ya le le Zindagi meri...