Woh khayaal rakhti hai sabka, sabka dard hai
baantati
Woh apne aashiyane ko sanjoke ek ek pal hai
chhantati
Ek wohi hai iss duniya mein jo har waqt
kaam hai karti
Kyunki maa kabhi retire nahin hoti…
Kabhi khana, kabhi chai, toh kabhi safai hai karti
Khansaame se lekar dhobi, sab ka kaam hai
karti
Ek wohi hai iss duniya mein jo kabhi nahin
thakti
Kyunki maa kabhi retire nahin hoti…
Hum rote, toh ro deti hai, hum muskuraayein
toh khush woh hoti
Hum chhupaake bhi naa chhupa paate, woh
mann hai padhti
Ek wohi hai, jo iss duniya se humare liye
har waqt hai ladti
Kyunki maa kabhi retire nahin hoti…

No comments:
Post a Comment